Alam Khursheed

main jidhar jaun mera KHwab nazar aata hai

Alam Khursheed

Arrah, Bihar, India

1959
maiñ jidhar jā.ūñ mirā ḳhvāb nazar aatā hai
ab ta.āqub meñ vo mahtāb nazar aatā hai
gūñjtī rahtī haiñ sāhil kī sadā.eñ mujh meñ
aur samundar mujhe betāb nazar aatā hai
itnā mushkil bhī nahīñ yaar ye maujoñ kā safar
har taraf kyuuñ tujhe girdāb nazar aatā hai
kyuuñ hirāsāñ hai zarā dekh to gahrā.ī meñ
kuchh chamaktā sā tah-e-āb nazar aatā hai
maiñ to taptā huā sahrā huuñ mujhe ḳhvāboñ meñ
be-sabab ḳhitta-e-shādāb nazar aatā hai
raah chalte hue bechārī tahī-dastī ko
sañg bhī gauhar-e-nāyāb nazar aatā hai
ye na.e daur kā bāzār hai 'ālam'-sāhib
is jagah TaaT bhī kam-ḳhvāb nazar aatā hai
Top Urdushayar.com