ab chhat pe koī chāñd Tahaltā hī nahīñ hai
dil merā magar pahlū badaltā hī nahīñ hai
kab se maiñ yahāñ but banā baiThā huuñ sar-e-rāh
but hai ki shivāle se nikaltā hī nahīñ hai
sone kī jagah roz badaltā huuñ maiñ lekin
vo ḳhvāb kisī tarah badaltā hī nahīñ hai
maiñ khīñchtā rahtā huuñ use dil se shab-o-roz
vo tiir mire dil se nikaltā hī nahīñ hai