Alam Khursheed

jal bujha hun main magar sara jahan tak mein hai

Alam Khursheed

Arrah, Bihar, India

1959
jal bujhā huuñ maiñ magar saarā jahāñ taak meñ hai
koī tāsīr to maujūd mirī ḳhaak meñ hai
kheñchtī rahtī hai har lamha mujhe apnī taraf
jaane kyā chiiz hai jo parda-e-aflāk meñ hai
koī sūrat bhī nahīñ miltī kisī sūrat meñ
kūza-gar kaisā karishma tire is chaak meñ hai
kaise Thahrūñ ki kisī shahr se miltā hī nahīñ
ek naqsha jo mire dīda-e-namnāk meñ hai
ye ilāqa bhī magar dil hī ke taabe Thahrā
ham samajhte the amaañ gosha-e-idrāk meñ hai
qatl hote haiñ yahāñ nāra-e-elān ke saath
vaz.a-dārī to abhī ālam-e-saffāk meñ hai
kitnī chīzoñ ke bhalā naam tujhe ginvā.ūñ
saarī duniyā hī to shāmil mirī imlāk meñ hai
rā.egāñ koī bhī shai hotī nahīñ hai 'ālam'
ġhaur se dekhiye kyā kyā ḳhas-o-ḳhāshāk meñ hai
Top Urdushayar.com