kuchh chamaktā sā tah-e-āb nazar to aa.e
Dūbne ke liye girdāb nazar to aa.e
koī ta.abīr kī sūrat bhī nikal aa.egī
niiñd to aa.e kabhī ḳhvāb nazar to aa.e
band kamre kī fazā kis ko bhalī lagtī hai
mere atrāf meñ mahtāb nazar to aa.e
do ghaḌī Thahrūñ kahīñ maiñ bhī zarā dam le luuñ
raah meñ ḳhitta-e-shādāb nazar to aa.e
maiñ shikasta huuñ idhar tū bhī shikasta hai udhar
jañg meñ koī zafar-yāb nazar to aa.e
mushkileñ gher ke baiThī haiñ mirā ghar 'ālam'
ab zarā halqa-e-ahbāb nazar to aa.e