Alam Khursheed

koi bhi shai kahan nayab hai hamare liye

Alam Khursheed

Arrah, Bihar, India

1959
koī bhī shai kahāñ nāyāb hai hamāre liye
khulā huā to dar-e-ḳhvāb hai hamāre liye
hameñ hī raushnī us kī nazar nahīñ aatī
charāġh to pas-e-mehrāb hai hamāre liye
palak jhapakte hī sab kuchh nayā sā lagtā hai
ye zindagī bhī koī ḳhvāb hai hamāre liye
utarte jaate haiñ pahnā.iyoñ meñ dariyā kī
ki jaltī sham.a tah-e-āb hai hamāre liye
hamīñ ne band kiye haiñ tamām darvāze
ye shahr aaj bhī betāb hai hamāre liye
bas ek mauj ne ye haal kar diyā apnā
har ek mauj hī girdāb hai hamāre liye
har ek shaḳhs ke da.ave alag alag 'ālam'
agarche baam pe mahtāb hai hamāre liye
Top Urdushayar.com