hirāsāñ huuñ siyāhī meñ kamī hotī nahīñ hai
charāġhāñ kar rahā huuñ raushnī hotī nahīñ hai
bahut chāhā ki āñkheñ band kar ke maiñ bhī jī luuñ
magar mujh se basar yuuñ zindagī hotī nahīñ hai
lahū kā ek ik qatra pilātā jā rahā huuñ
agarche ḳhaak meñ paidā namī hotī nahīñ hai
darīchoñ ko khulā rakhtā huuñ maiñ har-vaqt lekin
havā meñ pahle jaisī tāzgī hotī nahīñ hai
maiñ rishvat ke masā.il par namāzeñ paḌh na paayā
badī ke saath mujh se bandagī hotī nahīñ hai
maiñ apne ahd kī tasvīr har-pal khīñchtā huuñ
ġhalat hai sochnā ye shā.irī hotī nahīñ hai
burā hai dushmanī se āshnā honā bhī 'ālam'
kisī se ab hamārī dostī hotī nahīñ hai