aate rahte haiñ falak se bhī ishāre kuchh na kuchh
baat kar lete haiñ ham se chāñd taare kuchh na kuchh
ek kāfir kī masīhā.ī ke dast-e-faiz se
mil rahe haiñ zaḳhm ke donoñ kināre kuchh na kuchh
rañg har dīmak-zada tasvīr meñ bharte rahe
ik tasallī ke liye hijrāñ ke maare kuchh na kuchh
ik purānā ḳhat ka.ī phūloñ kī sūkhī pattiyāñ
is bayāz-e-zindagī meñ haiñ sahāre kuchh na kuchh
hai vahī qāmat vahī mānūs se naqsh-o-nigār
aisā lagtā hai kabhī vo the hamāre kuchh na kuchh
vaqt ke be-rahm sannāToñ meñ bahtī zindagī
hai sadā kī muntazir koī pukāre kuchh na kuchh