ye kamra aur ye gard-o-ġhubār us kā hai
vo jis ne aanā nahīñ intizār us kā hai
rukī huuñ zaḳhm ke raqbe meñ apnī marzī se
ye jāntī huuñ ki qurb-o-javār us kā hai
kisī ḳhasāre ke saude meñ haath aayā thā
so ek qīmtī shai meñ shumār us kā hai
faqat firāq to itnā nasha nahīñ rakhtā
maiñ laḌkhaḌāī huuñ jis se ḳhumār us kā hai
ḳharīd saktī thī so maiñ ḳharīd laa.ī huuñ
vo mere paas hai chāhe hazār us kā hai
darīda-jāñ huuñ darīda-libāsiyāñ bhī haiñ
magar ye kam to nahīñ taar taar us kā hai
maiñ saiñt saiñt ke kitnā sameT kar rakhkhūñ
ki kā.enāt bharā intishār us kā hai
na jaane boltī rahtī huuñ niiñd meñ kyā kyā
jo naam suntī huuñ maiñ baar baar us kā hai
maiñ ghar se jā.ūñ to taalā lagā ke jaatī huuñ
kuchh us kī shohrateñ kuchh e'tibār us kā hai