rah-e-talab meñ hameñ ġham pe ġham nazar aa.e
ba-qadr-e-zauq magar phir bhī kam nazar aa.e
vahīñ vahīñ mirā zauq-e-sujūd machlā hai
jahāñ jahāñ tire naqsh-e-qadam nazar aa.e
mire shu.ūr kī āñkhoñ meñ aa ga.e aañsū
mujhe asīr-e-alam jab sanam nazar aa.e
tirī talāsh meñ ye bhī maqām aayā hai
jidhar nigāh uThī sirf ham nazar aa.e
vo jalva-bār haiñ dil ke nigār-ḳhāne meñ
jo merī chashm-e-tamāshā ko kam nazar aa.e