Marghoob Hasan

dariyaon ke sitam se bachata rahe koi

Marghoob Hasan

dariyāoñ ke sitam se bachātā rahe koī
ḳhvābīda sāhiloñ ko jagātā rahe koī
sadiyoñ purānī ḳhaak se ta.amīr jism meñ
kab tak lahū kā baar uThātā rahe koī
jo log roz-o-shab ke ta.āqub meñ chal diye
vāpas unheñ safar se bulātā rahe koī
parvāz ke asiir hue mere bāl-o-par
ūñchā.iyoñ se mujh ko girātā rahe koī
kab tak ġhamoñ se chuur savāloñ kī khetiyāñ
sailāb-e-justujū se bachātā rahe koī
bīmār mausamoñ kā mudāvā muhāl hai
ā.ankhoñ meñ laakh rañg sajātā rahe koī
Top Urdushayar.com