Marghoob Hasan

wo pech-o-KHam jo alag meri rahguzar se tha

Marghoob Hasan

vo pech-o-ḳham jo alag merī rahguzar se thā
mujhe ḳhabar hai numāyāñ mire safar se thā
guzar gayā thā kisī raaz kī tarah vo naqsh
dhulā huā jo mirī ḳhāk-e-ḳhair-o-shar se thā
havā ke saath safar kā na hausla thā jise
sabhī ko ḳhauf usī lamha-e-sharar se thā
kanār-e-shām ufuq thā vahī magar vīrān
ḳhalā ke silsila-e-lams ke asar se thā
rukā huā thā ḳhamoshī kī tah meñ sail koī
ḳhatar use bhī mirī tarah bahr-o-bar se thā
mirī nigāh meñ haa.el the barg-o-bār-e-ḳhizāñ
ghirā huā maiñ ajab sāya-e-shajar se thā
Top Urdushayar.com