Marghoob Hasan

KHala ka KHauf pas-e-parda-e-ghubar nahin

Marghoob Hasan

ḳhalā kā ḳhauf pas-e-parda-e-ġhubār nahīñ
hisār-e-ḳhāk se phir bhī koī farār nahīñ
ubuur kar liiñ hadeñ ham ne nā-rasā.ī kī
magar tavālat-e-imkāñ meñ iḳhtisār nahīñ
yahī bahut hai ki miTTī jaḌoñ se lipTī hai
vagarna aaj daraḳhtoñ meñ barg-o-bār nahīñ
kahīñ ye sail-e-safar rā.egāñ na sābit ho
ki justujū ke shab-o-roz kā shumār nahīñ
simaT rahe haiñ vo ik Dūbte jazīre meñ
abhī ye raaz kināroñ pe āshkār nahīñ
zamīñ kī ḳhushk ragoñ meñ ravāñ jo rahtā thā
kanār-e-dasht-e-havas ab vo āb-zār nahīñ
Top Urdushayar.com