Shams Itawi

wajud-e-barq zaruri hai gulistan ke liye

Shams Itawi

vajūd-e-barq zarūrī hai gulistāñ ke liye
payām laatī hai ta.amīr āshiyāñ ke liye
azal se tā-ba-qayāmat sukūñ nahīñ miltā
mire nasīb kī gardish hai āsmāñ ke liye
ye aur baat hai phūloñ kā tañg dāman hai
bahāreñ phirtī haiñ betāb gulistāñ ke liye
na pūchh hāl-e-dil-e-zār ham-nashīñ mujh se
kaleja chāhiye patthar kā rāzdāñ ke liye
mirā aur un kā ta.alluq hai is tarah jaise
zabāñ dahan ke liye hai dahan zabāñ ke liye
mirī jabīñ se tirā āstāñ na chhūTegā
ki ye banī hai tire sañg-e-āstāñ ke liye
ġhazab huā unhīñ tinkoñ pe gir paḌī bijlī
jinheñ sambhāl ke rakkhā thā āshiyāñ ke liye
tirī talab meñ phirātā hai mujh ko dasht-ba-dasht
vo zauq-o-shauq jo rahbar hai kārvāñ ke liye
ḳhudā ke sāmne jaanā paḌegā ḳhālī haath
ki shams' jam.a na kar paa.e kuchh vahāñ ke liye
Top Urdushayar.com