ye kyā andāz haiñ dast-e-junūn-e-fitna-sāmāñ ke
uḌaa.e jā rahe haiñ chaak kyuuñ sahrā ke dāmāñ ke
abhī tum ne nahīñ dekhe sharāre āh-e-sozāñ ke
abhī sho.ale kahāñ bhaḌke haiñ dil meñ dard-e-pinhāñ ke
havādis kī havāoñ ne ghaTā dī lau mohabbat kī
diye maddham se hote jā rahe haiñ bazm-e-jānāñ ke
vafā ke gul hī vo gul haiñ ki jo daa.im mahakte haiñ
vagarna ye kahāñ hai baat phūloñ meñ gulistāñ ke
jalāo ḳhūn-e-dil mahfil meñ jab kuchh raushnī hogī
añdherā har taraf chhāyā huā hai bazm-e-jānāñ ke
guloñ se tāzgī phūloñ se rañgat ho ga.ī ruḳhsat
sabā ne kaan meñ kyā kah diyā fasl-e-bahārāñ ke
unheñ bhī shams' kī hālat pe rahm aa hī gayā āḳhir
na dekhe jā sake paiham mazālim charḳh-e-gardāñ ke