ḳhalish ho jis meñ vo armāñ talāsh kartā huuñ
na nikle dil se jo paikāñ talāsh kartā huuñ
kisī kī kākul-e-pechāñ talāsh kartā huuñ
chaman meñ sumbul-o-raihāñ talāsh kartā huuñ
na jis meñ daur-e-ḳhizāñ ho na āshiyāna jale
maiñ koī aisā gulistāñ talāsh kartā huuñ
ḳhilāf-e-vaza.a hai hadd-e-junūñ se baḌh jaanā
tarīq-e-chāk-garībāñ talāsh kartā huuñ
maiñ is talāsh ke qurbāñ fasāna-e-dil ko
maiñ roz ik nayā unvāñ talāsh kartā huuñ
na koī sham.a hai raushan na raqs-e-parvāna
sukūn-e-gor-e-ġharībāñ talāsh kartā huuñ
jo hādsāt kī āñdhī meñ bhī rahe raushan
maiñ aisī sham-e-farozāñ talāsh kartā huuñ
kabhī kalīm ne dekhā thā tuur par jalva
vahī maiñ jalva-e-jānāñ talāsh kartā huuñ
vo shah-rag se bhī nazdīk shams' rahtā hai
jise ba-koh-o-bayābāñ talāsh kartā huuñ