koī kar saktā hai yaaro jaisā maiñ ne kaam kiyā
yaar ke zimme dī kar nekī apne ta.iiñ bad-nām kiyā
āñkhoñ se sahlāyā kiyā maiñ talve us ke vaqt-e-ḳhvāb
itnī ḳhidmat dekh mirī ghar ġhair ke jā ārām kiyā
kaun sī shab be-nāla-o-zārī maiñ ne nahīñ kī us bin sub.h
kaun sā din be-rañj-o-musībat meñ na ro ro shaam kiyā
kuchh na chalā bas us pe azīzo apnī hī maiñ jaan pe khelā
āḳhir dard-e-hijr ne us ke merā kaam tamām kiyā
shab kahā maiñ ne us se mirā dil zulf kā terī banda hai
kyuuñ use tū ne qaidī-e-dām-e-sumbul-e-mushkīñ-fām kiyā
kaafī thā us kī bastagī ko to tār-e-kākul-e-rishta-e-zulf
kar ke asīr-e-halqa-e-gesū kyuuñ use be-ārām kiyā
chīñ-ba-jabīñ ho bolā duur ho tujh ko hai saudā dīvāne
chhūTne kā kyuuñ us ke tū ne dil meñ ḳhayāl-e-ḳhām kiyā
avval murġh rishta bapā sā thā pāband-e-tār-e-zulf
halqa-e-gesū meñ lā us ko āḳhir said-e-dām kiyā
aarzū yak bosa kī rakhtā dil meñ 'jahāñdār' ai pyāre
la.al-e-lab-e-shīrīñ se tum ne par na kabhū in.aam kiyā