Meerza Jawan Bakht Jahandar

yar ke bin bahaar kya kije

Meerza Jawan Bakht Jahandar

1749-1778
yaar ke bin bahār kyā kiije
gul na hove to ḳhaar kyā kiije
kaam merā to ho chalā āḳhir
ai mire kirdgār kyā kiije
koī va.ada vafā nahīñ kartā
vo taġhāful shi.ār kyā kiije
misl-e-ā.īna ḳhud-numā merā
sab se ho hai do-chār kyā kiije
soz-e-dil merā mujh ko de hai jalā
aah misl-e-chīnār kyā kiije
ishq ne kar diyā mujhe majbūr
ab nahīñ iḳhtiyār kyā kiije
misl-e-zulf-e-butāñ fasāna-e-dil
hai tavīl iḳhtisār kyā kiije
guzrī jo dil pe mere ho guzrī
us kā ab ishtihār kyā kiije
dil to gulchīñ hai tere gulshan kā
le ke gul-rū hazār kyā kiije
vo to aatā nahīñ hai mere paas
ai dil-e-be-qarār kyā kiije
be-tarah hai mujhe ye mushkil ishq
sāhab-e-zulfiqār kyā kiije
ai 'jahāñdār' sab jahāñ DhūñDā
na.iiñ kuī ġham-gusār kyā kiije
Top Urdushayar.com