Meerza Jawan Bakht Jahandar

is waqt bare kuchh to karam-baKHshi kijiye

Meerza Jawan Bakht Jahandar

1749-1778
is vaqt baare kuchh to karam-baḳhshī kījiye
guzre ham aur baat se gaalī hī dījiye
sabr aur dīn-o-dil to tum aage hī le chuke
baaqī hai jaañ hamārī so ab ye bhī lījiye
deve vo jaam ġhair kuuñ yuuñ mere sāmne
ye dekh kyūñki ḳhūn-e-dil apnā na pīji.e
nāseh ye kyā hisāb ki maiñ jeb ko silā.ūñ
behtar hai aap muñh ke ta.iiñ apne sī jiye
patthar bhī bilke dekh 'jahāñdār' kā ye haal
pyāre kabhū to aap bhī is par pasījiye
Top Urdushayar.com