Meerza Jawan Bakht Jahandar

nala jidhar mera guzar kar gaya

Meerza Jawan Bakht Jahandar

1749-1778
naala jidhar merā guzar kar gayā
tiir sā har dil meñ asar kar gayā
dil na rahā aap meñ aur maiñ ba-ḳhud
merī taraf jab vo nazar kar gayā
khol ke zulfoñ ke ta.iiñ chehra par
yaar baham shām-o-sahar kar gayā
ahl-e-havas raat galī meñ tirī
jaane se ai shoḳh hazar kar gayā
aur jo mujh sā thā koī jāñ-fishāñ
dar pe tire jī se guzar kar gayā
dekhiyo sābit-qadamī qais kī
ishq meñ kyā umr basar kar gayā
rāh-e-ḳhatarnāk-e-mohabbat ko tai
bā-qadam dīda-e-tar kar gayā
koī thā kūche meñ sanam ke jo aaj
girya-e-ḳhūñ tā-ba-kamar kar gayā
aql pe nāzāñ huuñ 'jahāñdār' kī
dil na diyā us ko hunar kar gayā
Top Urdushayar.com