qismat ko apne likkhe ke ta.iiñ kaun dho sake
sab ho sake va-lek ye itnā na ho sake
phūloñ kī sej us ke liye farsh-e-ḳhār hai
tujh bin kisī tarah tirā āshiq na ho sake
tujh bin na kar sake mai-e-ishrat se halq tar
ḳhūñ-nāb-e-ġham se lab tirā āshiq na ho sake
gar chāhe gulshan-e-dil-e-pur-dāġh kī bahār
tū tuḳhm-e-ashk jitne ki ai diida bo sake
dekhā asar tumhārā bhī ai chashm-e-ashk-bār
kuchh kar sake na us kā ghar apnā Dubo sake
dil kī havas nikāl leñ āh-o-fuġhāñ bhī aap
ye bhī na darguzar kareñ jo un se ho sake
na.iiñ jān-o-dil ke khone 'jahāñdār' ko dareġh
yaad us kī par na jān-o-dil apne se kho sake