Meerza Jawan Bakht Jahandar

mujhse aashiq ke tain mar ke kya pawega

Meerza Jawan Bakht Jahandar

1749-1778
mujh se āshiq ke ta.iiñ maar ke kyā pāvegā
muft badnāmī tujhe hovegī pachhtāvegā
jo tirā āshiq-e-raftār hai juuñ naqsh-e-qadam
tere kūche ke ta.iiñ chhoḌ kahāñ jāvegā
ġhair ke kahne par ai yaar na kahiyo hargiz
ye samajh rakhiyo vo shaitān hai bahkāvegā
dahr meñ tere fareboñ se ai shoḳh ayyār
kam koī hogā na dil jis kā daġhā pāvegā
yaar ko tarz-e-jafā se nahīñ rakhne kā baaz
nāsehā har ghaḌī mujh ko hī to samjhāvegā
āshnā.ī na 'jahāñdār' se toḌ ai pyāre
aisā āshiq na jahāñ meñ tū koī pāvegā
Top Urdushayar.com