Meerza Jawan Bakht Jahandar

ji bhara aata hai Khaali mai ka pyala de gaya

Meerza Jawan Bakht Jahandar

1749-1778
jī bharā aatā hai ḳhālī mai kā pyāla de gayā
dekhiyo kyā aaj ham ko shoḳh-bālā de gayā
us but-e-paimāñ-gusil ko jab ki maiñ laatā huuñ ghar
kuī nikoī de ke baalā mujh ko taalā de gayā
chāk-e-sīna ko jigar ko dāġh-e-dil ko dard-e-zaḳhm
tājir-e-ġham shahr-e-ulfat ke ye kaalā de gayā
kal ke din dikhlā ke apnā jalva-e-san.at-garī
yaad apnī shab ko vo bārī-ta.ālā de gayā
naam apnā japne ko har har tarah se har jagah
sub.ha to masjid meñ but-ḳhāne meñ maalā de gayā
Top Urdushayar.com