mat boliyo tū us se 'jahāñdār' dekhnā
khīñche hue hai aaj vo talvār dekhnā
abrū-kamāñ se tīr-e-nigah maar dekhnā
lagtī hai paar dil ke mire yaar dekhnā
giryāñ huuñ ek umr se pūchhā na yaar ne
rotā hai kaun ye pas-e-dīvār dekhnā
ta.alīm ashk-o-āh se lī mere abr ne
jo yuuñ baras rahā hai dhuāñ-dhār dekhnā
sar-rishta kufr-o-dīñ kā haqīqat meñ ek hai
jo tār-e-sub.ha hai so hai zunnār dekhnā
yaaro maiñ kah rahā thā ki dil mat de de ke dil
aayā hai tañg kyā hī 'jahāñdār' dekhnā