sīna-e-pur-soz yaksū chashm-e-giryāñ yak taraf
dil bache kyā yak taraf ātish hai tūfāñ yak taraf
daam sabze ke se bachnā tā.ir-e-dil hai muhāl
sabza-e-ḳhat yak taraf zulf-e-pareshāñ yak taraf
musta.id haiñ us but-e-tannāz par bahr-e-nisār
yak taraf sabr-o-dil-o-dīñ jān-o-īmāñ yak taraf
kis pe shab-ḳhūñ mārne kuuñ kī saf-ārā fauj-e-nāz
yak taraf syāhī misī kī surḳhī-e-pāñ yak taraf
phir bahār aa.ī jo bāham musta.idd-e-jañg haiñ
yak taraf dast-e-junūñ jaib-o-garebāñ yak taraf
Tuk samā kar ai 'jahāñdār' aaj us kūche meñ jā
teġh-bar-kaf hai vo yaksū aur raqībāñ yak taraf