tujh bevafā kī aah koī chaah kyā kare
dil tujh ko de ke tū hī batā aah kyā kare
jis dil-jale kī tujh se lage sham.a-sāñ lagan
sar se vo guzre aur tū vallāh kyā kare
zaarī fuġhāñ o naala sabhī be-asar haiñ aah
is sañg-dil ke dil meñ koī raah kyā kare
is māh-e-kūcha-gard ke ta.iiñ DhūñDhtā huā
har shab galī galī na phire aah kyā kare
yāqūb kī tarah to bahut ro.e dekhiye
ai yūsuf-e-zamāna tirī chaah kyā kare
jaate haiñ sū-e-dair rah-e-kāba chhoḌ kar
haq meñ hamāre dekhiye allāh kyā kare
koī DhūñDhtā katāñ ke ta.iiñ yaaro par hai ġham
miltā kahīñ nahīñ dil-e-āgāh kyā kare
kī dil ne dil-barān-e-jahāñ kī bahut talāsh
koī dil-rubā milā hai na dil-ḳhvāh kyā kare
is kū-e-zulf meñ ai 'jahāñdār' jā phañsā
dil kis tarah se gum na kare raah kyā kare