dil-e-pur-ḳhūñ jo jaam hai merā
ḳhuun sharb-e-mudām hai merā
riñd-o-āvāra naam hai merā
sab meñ ye ehtirām hai merā
aariz o zulf-e-yār kā dhyān
mūnis-e-sub.h-o-shām hai merā
umr guzrī ki misl-e-naqsh-e-qadam
us kī rah meñ qayām hai merā
aah ik din bhī dekh kar na kahā
ye bhī kui naqsh-e-gām hai merā
qāsid us harf-e-nā-shunū tak jald
yahī jāgah payām hai merā
abhī aanā hai to shitābī aa
kaam varna tamām hai merā
hai usī but ke tāq-e-abrū ko
jo sujūd o salām hai merā
gaah be-ḳhud huuñ gah ba-ḳhud har dam
kuuch aur ye maqām hai merā
ai 'jahāñdār' huuñ maiñ said-e-asīr
har ḳham-e-zulf daam hai merā