dekh terā jamāl kuchh kā kuchh
dil meñ aayā ḳhayāl kuchh kā kuchh
aaj lagtā hai merī āñkhoñ meñ
vo mirā naunihāl kuchh kā kuchh
dekh us manharan kī āñkhoñ ko
ho gayā us kā haal kuchh kā kuchh
ḳhat pe us ke to thī kuchh aur hī bahār
hai farībinda ḳhaal kuchh kā kuchh
hai taraqqī meñ us ḳhush-abrū kā
husn misl-e-hilāl kuchh kā kuchh
haal dikhlāte haiñ zamāne kā
gardish-e-māh-o-sāl kuchh kā kuchh
ai 'jahāñdār' mashq-e-sher meñ ab
tū ne paayā kamāl kuchh kā kuchh