jis ko ki dastaras huī dāmān-e-yār tak
gulshan meñ dahr ke vahī pahuñchā bahār tak
juuñ ḳhaar us se to nahīñ hote judā raqīb
mujh ko rasā.ī kyoñ ki ho us gul-ezār tak
abrū kahāñ ne vaz.a nikālī hai ye na.ī
rahtā hai tīr-e-ġhamza mire dil meñ maar tak
pyāre kahīñ nazar na lage aa.ine kī aaj
be-tarah tujh ko rahtā hai vo ai nigār tak
ġhaflat meñ terī kaam hamārā tamām hai
koī kah de itnā yār-e-taġhāful-shi.ār tak
ham sirf dekhne ko haiñ mahrūm aur hai
ġhairoñ ko dastaras tire bos-o-kanār tak
saaqī shitāb jām-e-subūhī pilā mujhe
kyā jāniye bachūñ na bachūñ maiñ ḳhumār tak
dushman hai merī jaan kā aalam tire liye
yaaro koī sunāo ye us dost-dār tak
tujh bazm meñ jo baar 'jahāñdār' ko nahīñ
rahtā hai rahguzar meñ tujhe baar baar tak