Meerza Jawan Bakht Jahandar

dekho to mere nala-o-ah-o-fughan ki or

Meerza Jawan Bakht Jahandar

1749-1778
dekho to mere nāla-o-āh-o-fuġhāñ kī or
baan is kaḌak se jaave hai kab āsmāñ kī or
masjid ko chhoḌ aa.e kalīsā.īyāñ kī or
chhoḌā navāh-e-ka.aba chale ham butāñ kī or
zāhid tire kamāl pe māreñ haiñ pusht-e-pā
laa.e faro sar apnā jo pīr-e-muġhāñ kī or
sukh niiñd be-ḳhudī kī use turt aa ga.ī
laagā jo gosh Tuk bhī mirī dāstāñ kī or
TukḌe jigar ke bah chale ham-rāh-e-sail-e-ashk
laatā hai khīñch ḳhār-o-ḳhas āb-e-ravāñ kī or
zālim silāh bāñdh ke aanā ba-qasd-e-qatl
kyā hai zarūr, apne kisī nīm-jāñ kī or
kuchh kam nahīñ tirī nigah-o-abrū-o-mizha
mat haath lā tū ḳhanjar-o-teġh-o-sināñ kī or
terī nigāh-e-mehr ne mujh se vo kuchh kiyā
jo kuchh ki chashm-e-māh kare hai katāñ kī or
un añkhḌiyoñ kī putliyoñ se aañkh jā lagī
jā phirtī na.iiñ nigāh ab un abruvāñ kī or
misra.a ye apnā aayā 'jahāñdār' ham ko yaad
chhoḌā navāh-e-ka.aba chale ham butāñ kī or
Top Urdushayar.com