jo kuchh ki tū ne sar pe mire dilrubā kiyā
dil hī vo jāntā hai kahūñ kyā maiñ kyā kiyā
mat pūchh āh-e-ishq ke ḳhūbāñ ke kyā kiyā
rusvā kiyā ḳharāb kiyā mubtalā kiyā
yaaro kahe rakhe huuñ maiñ da.avā na kījiyo
qātil ko apne maiñ ne ba-hal ḳhūñ-bahā kiyā
mulzim kiyā hai aah kisī ne mujhe ba-aks
ā.īna-rū kā apne maiñ jis se gila kiyā
ban baiThtā hai muft mire jī kā mudda.ī
iz.hār us se dil kā maiñ jab mudda.ā kiyā
be-mehrī terī kyā kahūñ ai sañg-dil ki chuur
mujh dil kā shīsha tū ne ba-sañg-e-jafā kiyā
us bin na qibla samjhūñ na qibla-numā ko maiñ
qibla use dil apne ko qibla-numā kiyā
maltā hai ai nigār kaf-e-pā kuuñ apne aah
kyā tū ne mere ḳhuun ko rañg-e-hinā kiyā
ye chashm-dāsht tujh se 'jahāñdār' ko na thī
jo ġhair ke liye use tū ne jafā kiyā