jo mar ga.e tirī chashm-e-siyāh ke maare
na hashr ko bhī uTheñge nigāh ke maare
misāl-e-barg-e-ḳhizāñ sarsar-e-firāq se aah
paTakte phirte haiñ sar ham tabāh ke maare
azīzo dil na do yūsuf kī kar ke chaah kabhī
ki jā ke chaah meñ girte haiñ chaah ke maare
ilāhī hashr meñ āvāz-e-sūr sun kyūñkar
uThūñgā aah maiñ bār-e-gunāh ke maare
hazar kar āh-e-dil-e-nātavāñ se ai zālim
ki koh Tal ga.e haiñ barg-e-kāh ke maare
na samjhiyo ki falak par sitāre haiñ raushan
haiñ raḳhna-dār mire tīr-e-āh ke maare
bisān-e-naqsh-e-qadam tere dar se ahl-e-vafā
uThāte sar nahīñ hargiz tabāh ke maare
ujaḌ ga.e ḳhirad-o-sabr-o-hosh-o-tāb-o-tavāñ
usī ke nāz-o-adā kī sipāh ke maare
jahān-e-dil ai 'jahāñdār' ek din na basā
jafā-e-shāh-e-taġhāful-shi.ār ke maare