Meerza Jawan Bakht Jahandar

sunta nahin kisu hi ki wo yar dekhna

Meerza Jawan Bakht Jahandar

1749-1778
suntā nahīñ kisū hī kī vo yaar dekhnā
kiijo na us se hāl-e-dil iz.hār dekhnā
gustāḳh be-tarah hai tujh āġhosh se ye haath
ho jā.egā gale kā tire haar dekhnā
tujh dar pe misl-e-naqsh-e-qadam ek umr se
pyāre fatāda hai ye gunahgār dekhnā
ghar tere ga.e pe tujh kuuñ na paayā bilā raqīb
mujh ko huā ye gul ke evaz ḳhaar dekhnā
sham-e-jamāl apne pe chāhe jo imtihāñ
parvāna-vār mujh ko bhī yak-bār dekhnā
koī tīra-baḳht mujh sā bhī hogā jahān meñ
tujh zulf se milā na mujhe taar dekhnā
is rāz-e-ishq ko kahīñ ro ro ke sham.a saañ
iz.hār kījiyo na 'jahāñdār' dekhnā
Top Urdushayar.com