Meerza Jawan Bakht Jahandar

yak do jam aur bhi de tu saqi

Meerza Jawan Bakht Jahandar

1749-1778
yak do jaam aur bhī de tū saaqī
na rahe dil meñ aarzū saaqī
merī taskīñ na hogī sāġhar se
muñh se mere lagā subū saaqī
raat o din mai-kashoñ ko rahtī hai
terī hī yaad o justujū saaqī
riñd-e-muflis ko de hai zyaad sharāb
bhaa.ī mujh ko tirī ye ḳhū saaqī
aah tujh bin haiñ zār-o-nālāñ ham
bhūlī mastī kī hāv-hū saaqī
shīsha-e-mai kī tarah se ham aaj
rakhte haiñ girya dar-gulū saaqī
kisī ke aage misl-e-sāġhar ham
laate haiñ dast-e-ārzū saaqī
laate haiñ misl-e-shīsha-e-bāda
tere hī aage sarfarū saaqī
ro nahīñ us ko bazm-e-mastāñ meñ
jis ke ta.iiñ tū na deve rū saaqī
de 'jahāñdār' ko vo mai jis kā
hove gul kā sā rañg-o-bū saaqī
Top Urdushayar.com