Meerza Jawan Bakht Jahandar

ai zalim tere jab se pale paDe

Meerza Jawan Bakht Jahandar

1749-1778
ai zālim tire jab se paale paḌe
hameñ apne jiine ke laale paḌe
phire DhūñDte pā-barahna tujhe
yahāñ tak ki paañv meñ chhāle paḌe
kiyā hai ye tuġhiyāñ mire ashk ne
ki bahte haiñ duniyā meñ naale paḌe
chalā ġhair par na.iiñ ye tīr-e-nigāh
hamārī hī chhātī pe bhāle paḌe
hameñ kyuuñ ki vo shoḳh baale na de
ki ab kaan meñ kaan baale paḌe
mirā ḳhūn-e-dil yuuñ bahā dasht meñ
ki jañgal meñ lohū ke thāle paḌe
'jahāñdār' ġham hai kisī lāla-rū kā
jo dil par tire daaġh kaale paḌe
Top Urdushayar.com