meenakshi jijivisha

gar mante ho usko KHuda mutmain raho

meenakshi jijivisha

Hisar, Haryana, India

1978
gar mānte ho us ko ḳhudā mutma.in raho
jo bhī milā hai jitnā milā mutma.in raho
jab lashkar-e-umīd ko ḳhauf-e-shikast thā
tab āsmāñ se aa.ī sadā mutma.in raho
aurat ne jab bhī baat kī apne huqūq kī
duniyā ne saath mil ke kahā mutma.in raho
sāgar hai sirf dariyā kī mauzūñ ke dam se hī
ab ye bharam bhī TuuT gayā mutma.in raho
tum peḌ se phaloñ kī tavaqqo.a hī mat rakho
gar mil rahī hai is se havā mutma.in raho
ham hijr meñ ye kahte rahe dil se baar baar
vo hai faqat zarā sā ḳhafā mutma.in raho
chāragarī kī jab bhī kī zaḳhmoñ ne iltijā
hañs kar faqīr ne ye kahā mutma.in raho
saare bayān-e-ishq meñ mere ḳhilāf haiñ
tum ko nahīñ milegī sazā mutma.in raho
Top Urdushayar.com