aarzū aur ḳhvāb le jaao
har amānat janāb le jaao
hijr ham se sahā na jā.egā
saath apne azaab le jaao
kaam ā.eñgī tajarbe ke liye
zindagī kī kitāb le jaao
aap se jo bhī ḳhaar khāte haiñ
un kī ḳhātir gulāb le jaao
har añdhere meñ kaam aa.egā
ilm kā āftāb le jaao
aap ko de rahe haiñ dil apnā
achchhā hai yā ḳharāb le jaao
ek darvesh kī hai ye kuTiyā
tum mizāj-e-navāb le jaao
sab ke hoñToñ pe qufl lag jaa.e
koī aisā javāb le jaao
log chehroñ pe chehre rakhte haiñ
tum bhī koī naqāb le jaao
ye adab kī dukān hai sāhab
jo bhī chāho ḳhitāb le jaao
jis jagah ho akaal sūkhe se
us jagah jal sahāb le jaao
dil jigar jaan sab tumhāre haiñ
jab bhī chāho janāb le jaao
ishq kī ye kitāb le jaao
is kā har ek baab le jaao
kaise kāTo.ge din judā.ī ke
saath yād-e-rabāb le jaao
yaad ke zaḳhm kā hai ye marham
tum vatan kī turāb le jaao
ḳhush rakhe aap ko ḳhudā har pal
muflisī kā savāb le jaao
kaise kaaTe haiñ din judā.ī ke
har nafas kā hisāb le jaao
nanhe-munnoñ ko khelne bhī do
bojh hai ye nisāb le jaao
har ġhalat baat bhī sahā na karo
ham se thoḌā itaab le jaao