meenakshi jijivisha

ye jo lauTi hai charaghon ko bujha ke pichhe

meenakshi jijivisha

Hisar, Haryana, India

1978
ye jo lauTī hai charāġhoñ ko bujhā ke pīchhe
hausle aur kisī ke haiñ havā ke pīchhe
chhoḌ kar itnī hasīñ duniyā ko dīvāne log
jaane kyā dekhne jaate haiñ qazā ke pīchhe
Thiik hai us ne duā dī hai tumheñ bhī lekin
us kī ḳhvāhish bhī pata karnā duā ke pīchhe
kaam itnī to chalo aa ga.ī goyā.ī mirī
us kī ḳhushbū hai chalī aa.ī sadā ke pīchhe
us kā paiġhām samajh paa.e nahīñ aur nādāñ
qatl karne lage logoñ ko ḳhudā ke pīchhe
jab bhī chāhūñ ki baḌhūñ aage to maazī kī ye mauj
le ke jaatī hai mujhe aur bahā ke pīchhe
muntazir jis ke the ham ek zamāne se vo
raushnī laa.ī añdheroñ ko chhupā ke pīchhe
tum ko kyā ilm miTā kitne hī qatroñ kā vajūd
muskurātī huī is ek ghaTā ke pīchhe
log ye TuuTe hue yuuñ bhī anā rakhte haiñ
kyūñki chhup jaatā hai bikhrāv anā ke pīchhe
Top Urdushayar.com