agar na ro.eñ to āñkhoñ pe bojh paḌtā hai
kareñ jo girya to rātoñ pe bojh paḌtā hai
parinde chhoḌ ke tanhā agar chale jaa.eñ
to phir daraḳht kī shāḳhoñ pe bojh paḌtā hai
ḳhatā-e-ishq ko ab sirf sochne bhar se
hamārī ruuh ke chhāloñ pe bojh paḌtā hai
ye chāñd kartā hai ārām jab amāvas meñ
siyāh raat meñ tāroñ pe bojh paḌtā hai
tum in ko ilm do lekin ye ehtiyāt rakho
ho bhārī basta to bachchoñ pe bojh paḌtā hai
sukūt itnā hameñ raas aa gayā hai ki ab
jo kuchh suneñ bhī to kānoñ pe bojh paḌtā hai
tumhārī yaad kī ujḌī huī havelī meñ
hai itnī dhuul ki sāñsoñ pe bojh paḌtā hai
ham is ḳhayāl se hijrat bhī kar nahīñ sakte
qadam baḌhā.eñ to rāhoñ pe bojh paḌtā hai