Iqbal Mateen

jab wo lab-e-nazuk se kuchh irshad karenge

Iqbal Mateen

Hyderabad, Telangana, India

1929-2015
jab vo lab-e-nāzuk se kuchh irshād kareñge
ham ai dil-e-marhūm tujhe yaad kareñge
ab to ye taqāze haiñ kisī dushman-e-jāñ ke
tum uf na karoge bhī to bedād kareñge
ham aap jalā leñge sarishk-e-sar-e-mizhgāñ
ab aap kahāñ tak sitam ījād kareñge
ik dil ke ujaḌ jaane kā ġham ho to kahāñ tak
aao ki ġham-e-dil hī ko ābād kareñge
ham ahl-e-vafā terī jafāoñ pe jo chup haiñ
jī leñge to apne hī se fariyād kareñge
ye mez ye kursī ye kitābeñ ye khulā-pan
chup chup se kisī shaḳhs ko sab yaad kareñge
Top Urdushayar.com