Hina Ambareen

waqt ke kan kaun bhar raha hai

Hina Ambareen

Multan, Punjab, Pakistan

1987
vaqt ke kaan kaun bhar rahā hai
vaqt vaise bhī to guzar rahā hai
saal do chaar pīchhe ho ga.e haiñ
aa.ina dekh kar sañvar rahā hai
kaun rahtā hai paar dariyā ke
ye jo paanī hai kyoñ biphar rahā hai
ye udāsī bhī be-sabab to nahīñ
dil kisī justujū meñ mar rahā hai
thaam kar haath merā hāthoñ meñ
baat be-bāt kyoñ mukar rahā hai
duur hī rahiye dūr-tar rahiye
aap se kaun baat kar rahā hai
merā saaya bhī mere saath nahīñ
kyā koī merā ham-safar rahā hai
kitne baune hue haiñ vo sābit
ḳhabt jin kā hamāre sar rahā hai
ek vahshat kā baab ḳhatm huā
ek nashsha thā jo utar rahā hai
Top Urdushayar.com