ḳhud ko pahroñ thakātī huuñ maiñ
yaad ke but banātī huuñ maiñ
dhyān haTtā nahīñ hai mirā
dhyān tujh se haTātī huuñ maiñ
kaun tere sivā hai mirā
tujh ko apnā banātī huuñ maiñ
jab mujhe yaad aatā hai vo
do-jahāñ bhuul jaatī huuñ maiñ
ḳhvāb hai terī chāhat mujhe
ḳhvāb ḳhud ko dikhātī huuñ maiñ
jal rahā hai diye se diyā
bāñTtī huuñ to paatī huuñ maiñ
aaj nau saal puure hue
apnī vahshat manātī huuñ maiñ
vaah vā kī zarūrat nahīñ
zaḳhm likh kar dikhātī huuñ maiñ