Yasmeen Habeeb

mujhko utar harf mein jaan-e-ghazal bana mujhe

Yasmeen Habeeb

mujh ko utaar harf meñ jān-e-ġhazal banā mujhe
merī hī baat mujh se kar merā kahā sunā mujhe
raḳhsh-e-abad-ḳhirām kī thamtī nahīñ haiñ bijliyāñ
sub.h-e-azal-nizhād se karnā hai mashvara mujhe
lauh-e-jahāñ se peshtar likkhā thā kyā nasīb meñ
kaisī thī merī zindagī kuchh to chale pata mujhe
kaise hoñ ḳhvāb aañkh meñ kaisā ḳhayāl dil meñ ho
ḳhud hī har ek baat kā karnā thā faisla mujhe
chhoTe se ik savāl meñ din hī guzar gayā mirā
tū hai ki ab nahīñ hai tū bas ye zarā batā mujhe
kaise guzarnā hai mujhe us pul-sirāt-e-vaqt se
vaise to de ga.e sabhī jaate hue duā mujhe
merā safar mirā hī thā uThte kisī ke kyā qadam
apne liye thā khojnā apnā hī naqsh-e-pā mujhe
lagtā hai chal rahī huuñ maiñ rūh-e-tamām kī taraf
jaisī thī ibtidā mujhe vaisī hai intihā mujhe
Top Urdushayar.com