be-shak apne zebā.ī par us ko naaz rahe
lekin shaam savere yaad aane se baaz rahe
ek muqaddas hastī ne ik roz duā ye kī
rab kī rahmat se duniyā meñ tū mumtāz rahe
qatra qatra duurī de kar jis ne maar diyā
apnoñ jaise us dushman kī umr darāz rahe
us kā dhyān kabhī nā bhūle dil meñ ho har pal
soch usī ko sochtī jaa.e narm gudāz rahe
ek qadam ke saath pe us kī laraz ga.ī āvāz
saat janam tak ham jis jhūTe kī āvāz rahe
duniyā us ke saath ho lekin us ke dil meñ ham
saare jag meñ ham ko hāsil ye e.ajāz rahe
us ne dekhā ḳhush ho ke ā.īna toḌ diyā
barsoñ apne aap se lekin ham nārāz rahe
kabhī nahīñ aayā vo kah kar us ko jāntī huuñ
jhūTī aas ke us ke paas hamesh javāz rahe