tum kahāñ mujh se mulāqāt ko aa sakte ho
chaltī gaaḌī se faqat haath hilā sakte ho
yuuñ nahīñ hai ki har ik ḳhvāb ko ta.abīr mile
aisā kab hai jise chāho use pā sakte ho
mere jaise ho to hāzir haiñ mire qalb-o-nazar
auroñ jaise ho to phir shauq se jā sakte ho
lāzmī ye bhī kahāñ hai ki hamāre hī raho
daf.atan aur kisī ko bhī to bhā sakte ho
āsmānoñ se mire vāste raushan taare
bātoñ bātoñ meñ sahī toḌ ke lā sakte ho
tum ko to vus.at-e-iz.hār pe hai itnā ubuur
jam ke ik sher agar kah do to chhā sakte ho
maiñ zamāne meñ mohabbat kī sadā bāñTtī huuñ
merī āvāz meñ āvāz milā sakte ho