Hina Ambareen

chehron pe KHamushi ki lau ruh se ham-kalam hain

Hina Ambareen

Multan, Punjab, Pakistan

1987
chehroñ pe ḳhāmushī kī lau ruuh se ham-kalām haiñ
ya.anī jo ġharq-e-ishq haiñ un ko mire salām haiñ
ḳhalvat-e-dil tire liye ā.ūñgī jald lauT ke
milne ko aa.e mehmāñ ghar ke do chaar kaam haiñ
kaise haiñ mere aqrabā kaisī huuñ maiñ patā nahīñ
bāteñ haiñ ḳhud se raat din bhūle tamām naam haiñ
roz-e-azal se haiñ judā aql-o-junūñ ke rāste
ya.anī tire ḳhayāl meñ donoñ ke ek daam haiñ
ishq kī avvalīn shart hai kūcha-e-yār se nikal
hosh se be-niyāz ho bhuul jā sub.h-o-shām haiñ
kār-e-firāq-o-hijr to ujlat kā kaam hī nahīñ
lamhe tire ḳhayāl ke tujh se bhī tez-gām haiñ
Top Urdushayar.com