Yasmeen Habeeb

abhi guzre dinon ki kuchh sadaen shor karti hain

Yasmeen Habeeb

abhī guzre dinoñ kī kuchh sadā.eñ shor kartī haiñ
darīche band rahne do, havā.eñ shor kartī haiñ
yahī to fikr ke jalte paroñ pe tāziyāna hai
ki har tārīk kamre meñ duā.eñ shor kartī haiñ
kahā nā thā hisār-e-ism-e-āzam khīñchne vaale
yahāñ aaseb rahte haiñ balā.eñ shor kartī haiñ
hameñ bhī tajraba hai be-gharī kā chhat na hone kā
darinde, bijliyāñ, kaalī ghaTā.eñ shor kartī haiñ
abhī gard-e-safar ke girye kī hai guuñj kānoñ meñ
abhī kyuuñ muntazir ḳhālī sarā.eñ shor kartī haiñ
hameñ sairāb rakkhā hai ḳhudā kā shukr hai us ne
jahāñ banjar zamīneñ hoñ anā.eñ shor kartī haiñ
Top Urdushayar.com