marne kī koī raah na jiine kā sabab hai
jiinā bhī yahāñ qahr hai marnā bhī ġhazab hai
aa jaao ye kūcha bhī rah-e-gesū-o-lab hai
zanjīr bhī ḳhanjar pe lahū bhī yahāñ sab hai
sunte hue jug biit gayā qissa-e-jamhūr
ab is ko haqīqat bhī banā Dāliye tab hai
ye aaj fazā meñ jo ghuTan hai jo umas hai
kahte haiñ ye tūfāñ ke liye husn-e-talab hai
pahchān hī legā ye lahū dāman-e-qātil
haañ hashr kā hañgām batā do koī kab hai