Shatir Hakeemi

dar se mayus tere talib-e-ikram chale

Shatir Hakeemi

Kamptee, Maharashtra, India

1912-1988
dar se māyūs tire tālib-e-ikrām chale
kaisī ummīd liye aa.e the nākām chale
o mirī bazm-e-tamannā ke sajāne vaale
lutf kar lutf ki duniyā meñ tirā naam chale
chhīn le charḳh-e-sitamgār se andāz-e-ḳhirām
kuchh agar zor tirā gardish-e-ayyām chale
ek vo haiñ ki tirā lutf-o-karam hai jin par
ek ham haiñ ki tirī bazm se nākām chale
azm-e-rāsiḳh ne bhī ghabrā ke qadam toḌ diye
kūcha-e-yār meñ ham yuuñ sahar-o-shām chale
mast āñkhoñ kā agar ek ishāra ho jaa.e
vajd meñ aa.e subū aur kahīñ jaam chale
niiñd bīmār-e-mohabbat ko kahīñ aatī hai
sub.h tā-shām agar bād-e-subuk-gām chale
rah-rav-e-ishq haiñ manzil kī hameñ kyā ummīd
kyā chale ḳhaak agar baiTh ke do-gām chale
kaun jaa.e hadaf-e-tīr-e-nazar hone ko
sabr se kaam agar ai dil-e-nākām chale
haif sad haif thī ummīd-e-rifāqat jin se
aaj vo bhī mire sar thop ke ilzām chale
ek 'shātir' ke na hone se bigaḌtā kyā hai
terī mahfil rahe ābād tirā naam chale
Top Urdushayar.com