Shatir Hakeemi

mere dil pe tera qabza mera iKHtiyar tu hai

Shatir Hakeemi

Kamptee, Maharashtra, India

1912-1988
mire dil pe terā qabza mirā iḳhtiyār tū hai
mirī zindagī kā hāsil mirā intizār tū hai
tirā kis se vāsta hai tujhe kis kī hai tamannā
jo halāk-e-jalva-e-ġham dil-e-be-qarār tū hai
mirī mushkiloñ meñ aksar mire kaam aane vaale
mirā mūnis-o-nigahbāñ mirā ġham-gusār tū hai
tujhe merī justujū hai mujhe aarzū hai terī
tirā e'tibār maiñ huuñ mirā e'tibār tū hai
koī duur duur tujh se koī paas paas tere
kahīñ tū kare hai parda kahīñ āshkār tū hai
kahīñ ruḳh chamak rahe haiñ kahīñ dil mahak uThe haiñ
kahīñ zau-fishāñiyāñ haiñ kahīñ mushk-bār tū hai
tire dar pe aa gayā hai ye siyāhkār 'shātir'
mirī baḳhsh de ḳhatā.eñ ki atā-shi.ār tū hai
Top Urdushayar.com