ye raat kitnī bhayānak hai bām-o-dar ke liye
kahāñ se lā.ūñ sirāj-e-munīr ghar ke liye
talab kī raah salāmat maqām-e-shauq bahut
takallufāt zarūrī nahīñ safar ke liye
jamāl-e-yār sazā-vār-e-jiht-e-ḳhās nahīñ
ajiib marhala dar-pesh hai nazar ke liye
ġharīb-e-shahr-e-tamannā asīr-e-dām-e-firāq
taḌap rahā hai sar-e-jāda ham-safar ke liye
basīrat-e-lab-o-lahja na zindagī kā shu.ūr
qarār bhī hai zarūrī dil o nazar ke liye
nashāt kā ruḳh-e-raushan dikhā ga.ī shab-e-ġham
duā ko haath uThāyā thā maiñ sahar ke liye
fuġhāñ ki jis ne zamāne ko raushnī baḳhshī
charāġh DhūñD rahā hai ḳhud apne ghar ke liye
hayāt daftar-e-taḳhlīq bhī hai ai 'shātir'
hayāt ek muamma bhī hai bashar ke liye